Friday, 16 March 2018

Mout ki jaan le lungi

Agar mera mishan pura hone se pehle
mujhe mout aa gai toh
Kasam se mout ki jaan le lungi

Sunday, 11 March 2018

Punishments vs Awards

Agar kisi din haar jao na toh
khud ko punishment jarur dena
isse jitne ka jazba bad jayega

jis din jeet jao us din
khud ko Award jarur dena
isse next time jitne ka hosla bad jayega.

Friday, 9 March 2018

Itihas ko phir dohrate h


Itihash ko phir dohrate h
kismat ko phir aajmate h

junoon or hosla sath hoga
is baar naam hmara hoga

jeet milne ko betab hogi
haar se takrar lajavab hogi

Benaam sa ye waqt

Benaam sa ye waqt thahar kyo nhi jata
jo beet gaya vo gujar kyo nhi jata
thak gaye h khud ko badalte badalte
ye benaam waqt khud badal kyo nhi jata

Intjaar Kar Us Rah Ka Jis Rah Par,

Intjaar Kar Us Rah Ka Jis Rah Par,
Teri Ummed Tere Sath Khadi Hogi,
Us Rah Ke Antim Chhor Par
Manzil Bhi Tera Besabri Se
Intjaar Kar Rahi Hogi

Haar aaj hui na

Haar aaj hui na ,
kal phir try karungi
haar ko bhi hara kar
naya itihash rachungi

Mout ki jaan le lungi

Agar mera mishan pura hone se pehle mujhe mout aa gai toh Kasam se mout ki jaan le lungi